Android mobile phone me aanewali problem or uska solutions kya hai. iski jankari step by step is post me batane ja raha hu so is post ko pure dhyaan se padhe or apne mobile ki problem ko solve kare.
1. Smartphone ka hit hona.
User ki Android operating system me mobile ka hit hona subse badi problem hai. Graphic games khelna, Net surfing karna or kai aap use se mobile hit hota hai.
Solutions.
Mobile hit kon - konse android apps se ho raha ye check kar usko update kare. Ager fir bhi problem aarahi hai to mobile ki battery check karle or purani ho to badal de.
2. android apps ka bar - bar crash hona.
Android OS me android apps crash hona or istemaal ke doraan bar - bar band hone ki problem aati hai.
Solutions.
Aise me problem denewale android apps ko update kare. Ab bhi problem aarhi hai to setting me jakar apps ko chune. Iske baad app me jakar data clear kare crash data bhi clear kare.
3. Mobile performance.
Bhetreen company, badhiya hardware or specification ke aane wala Android mobile bhi khuch dino ke baad new jaise performance nhi de pata.
Solutions
Iske liye Aap apne smartphone ka data backup lekar usko factory reset kare. Isse mobile ki bekar file hategi or performance bhi achi ho jayegi.
4. Google Playstore ( android store ) error.
Android Os me user ko kai baar Playstore open karne par error de deta hai. Aksar ek se jada Google account Playstore me use karne se aise problem aati hai.
Solutions.
Iske liye sabse pahele apne Playstore (android store) ke account ko remove karke firse add kare. Ager ab bhi problem kayam hai to setting me jakar Google account ko remove karke firse singin kare aapki problem solve ho jayegi.
5. GPS ka kaam n karna.
Ye bhi ek aam problem hai. Isme mobile ka GPS sahi map batane ke kabil nhi hota hai.
Solutions.
Aise me, GPS ko high mode par kare. Dhyan de ki isse battery thodi adhik kharch hogi par jab GPS sahi kaam karne lage to firse normal mod karle.
6. Battery ki problem.
Android Os me battery jaldi khatam hone ki problem user ko sabse jayda aati hai. Fir ager mobile kuch mahine purana ho jaye to battery problem jayda badh jati hai.
Solutions.
Aise me smartphone ka backup lekar factory data reset kare. Isse bhi acha rhega ager aap mobile ko hard boot kare.
7. Camera bag.
Android Os me user ko Camera ne problem aati hai ki usko on karte hi yato vo band ho jata hai ya fir screen black ho jati hai. Kai baar to Camera apne aap band ho jata hai.
Solutions.
Iske liye aap mobile setting ne jakar app ko select kare. Ab usme all tab me jakar Camera application par Click kare. Fir all data clear kare v crash data bhi clear kare. Ab bhi problem aaye to aap Camera ko disable karke firse enable karde.
8. Sink problem.
User ko aksar contact or calendar me sink ki problem bhi aati hai yani save kiye huae contact, events gayab ho jate hai.
Solutions.
android store me se aapko apna Google account remove karke firse singin karne se problem ka solve ho jayega. iske liye aap mobile setting se bhi account ko remove kar sakte hai.
9. Wifi ki connectivity n hona.
User ko aksar Android lollipop Os me wifi connectivity n hone ki problem ka samna karna padta hai. Kyuki wifi se connect hone ke baad connectivity ariya se door jane pe firse connect hone me muskil aati hai.
Solutions.
Iske liye sabse phele apne smartphone ko airplane mode me karde. Isme baad airplane mode hata nik jaye yani hata de. Iske baad wifi ko connect kare vaha par forget password karke firse password dale.
10. Virus.
User kai baar apne mobile me kisi or ke mobile se game, apps, video, music leta hai. Jis me android apps or game ko lene ke liye permission nhi deta tab hum square data on karke game aap lete hai. Isse humare mobile me virus aane ka khatra rheta hai.
Solutions.
android store se Ek acha sa antivirus mobile me install kare taki aap ka mobile safe rahe. Ho sake to kisi ke mobile se apps, game nhi le to acha hoga. Aap Playstore jo android store hai usse hi apps download kare.
Ye jankari aapko kaisi lagi ye aap niche diye comment box me comment karke hume bata sakte hai. Sath hi humse jude rahe ke liye or new jankari ke liye hume subscribe Kare.
0 comments:
Post a Comment